Sunday, 11 August 2013

Tujh se bechar k aankh ko num kis liye kare

Tujh se bechar k aankh ko num kis liye kare
Tujh ko melaal nahi tu hum kis liye kare

Duniya ki be rukhi tu nahi hai koi jawaaz
Es sheddat-e-khaloos ko kam kis liye kare

Taa umer kurbton ka tu emkaan he na tha
Aakhier faraq-e-yaar ka ghum kis liye kare

Apna janoon oy daad-o-sataysh se beneyaz
Phir be khudi ka haal raqum kis liye kare

Jin k liye ufaq pe chamkte hain raastein
Matti pe sabt naqsh-e-kadam kis liye kare

Manoos ho chuke hain anderoon sy apne log
Ab ehtejaj subh karam kis liye kare

Sajad koi nayi tu nahi hai yeh terghi
Aakhier melaal-e-shaam alam , kis liye kare

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...