Sunday, 22 November 2009

baraay-e-naam sahi koi mehar_baan to hai

baraay-e-naam sahi koi mehar_baan to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasamaan to hai

terii faraaKh dili ko duaayein detaa hooN
mere labon pe tere lams ka nishaan to hai

ye aur baat ki vo ab yahaaN nahiin rahataa
magar ye us ka basaayaa huaa makaan to hai

elavaa is ke na kuch aur pardaa rakh mujh se
fasiil-e-jism mere tere darmiyaan to hai

bichhar ke zindaa nahin rah sakeinge ham donon
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai

saron pe saayaa fiGan abr-e-aarazuu na sahi
hamaare paas sarabon ka saayabaan to hai

gul-e-muraad nahin sang haaye tifl sahi
Gariib-e-shahar kaa aaKhir kisi ko dhyan to hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...