havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi gaya
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhi gaya
pukaarate rahe mahafiz kishtiyon waale
main Doobta hua darya ke paar utar bhi gaya
ab ehatiyaat ki diwaar kya uThaate ho
jo chor dil mein chupaa tha wo kaam kar bhi gaya
main chup rahaa k is mein thi aafiyat jaaN ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagate sochate viraaN mausamon ki tarah
karra tha ahad-e-javani magar guzar bhii gayaa
jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil mein raha zehan se utar bhii gayaa
phaTii-phaTii hui aaNkhon se yooN na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa
magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa
No comments:
Post a Comment