Aray Dur Rehne Ke Bhi
Kuch Aadab Hua Karte Hain
Tumhein Pata Hai Jagti Ankhon Mein Bhi
Dheron Khawab Hua Karte Hain
Ye Kya K Har Cheez Tujhe Roo Kar
Hi Batao Sumjhao Buddu
Ankhein Khushak Hon Tu Jan Lon
In Mein Bhi Boht Salaab Hua Karte Hain
Kuch Meri Ghazalein Mere Hi
Chahre Pe Hain Likhi Hui Nazim
Itne Gor Se Mat Dekh Hum Tu
Marne Ko Betaab Hua Karte Hain
Manzil Pe Pohanchne Walon Ka Bhi
Nazriyaa Kuch Theek Nehin Nazim
Bhatak Jayein Kuch Log Tou
Wo Bhi Bemisaal Hua Karte Hain
(Nazim Ali)
No comments:
Post a Comment