Saturday, 10 August 2013

Go zaraa si baat par barson ke yaarane gaye

Go zaraa si baat par barson ke yaarane gaye
Lekin itnaa to huaa kuchh log pahchane gaye

maiN ise shohrat kahuuN ya apnii rusvaaii kahuuN
mujh se pahle us galii meN mere afsaane gaye

yuuN to voh merii rag-e-jaaN se bhii the nazdiik-tar
aan.suoN kii dhundh meN lekin na pahchaane gaye

vahshateN kuchh is taraH apna muqaddar ho gayiiN
ham jahaaN pohaNche, hamaare saath viirane gaye

kya qayaamat hai ki Khaatir, kushta-e-shab bhii the ham
subah bhii aai to mujrim ham hii gardaane gaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...