Tufaanoon Ki Chahat Ko Chor
Sahil Ki Tarif Aa
Aye Meri Masoom Guriyaa
Dekh Meri Tarif Aa
Jeena Hai Tou Raah Mein Jo Muyessar Hai
Usay Kr Le Humraah
Tou Phir Apni Manzil Ki Tarif Aa
Nazim Hasil Na Hua Kuch Tou
Kahan Tak Don Main Sadaa
Hassratein Hoyi Khatam Tu Chor De
Phir Qisamt Ki Tarif Aa
Janta Hon Iss Ke Mathay Pe
Koi Daag Nehin ‘ Hai Chand
Sun Aye Gham-e-Janaa
Bass Apne Muqabal Ki Tarif Aa
Gar Hai Tujhe Naseehat Hi Ki
Zarorat Aye Janaa
Thaam Le Mera Hath
Or Mere Kochay Ki Tarif Aa
Majbor Hai Tou Phir
Bahanna Kesa Nazim
Mat Soch In Baton Ko
Or Apni Tarif Aa
Gar Mujhe Hi Chun’na Hai Tou
Phir Ye Sochna Kesa Nazim
Bass Rekh De Apni Qismat Meri Qismat Ke Sath
Aa Meri Tarif Aa
(Nazim Ali)
No comments:
Post a Comment