Kabhi dil se kisi ko pyar kia hai ??
kitna ajeeb sa sawal hai naa...
jo khud main chupa hua
aur ayaan bhi jawab hi hai..
hai naa.. ?
kitney haseen sapney hotey hein
aankhon ka manzar
hamsafar ki deed
aur hamsafar ka deedar
zindagi ban jata hai
hai naa ?
kitney phool se bikhrey
har simt nazar aatey hein
kitni muskurahaten ,
masoom khuwahishaat ka jazeera
keh lo ya band aankhon se
din ki roshni main sajaye huye khuwaab
kitni suhani zindagi
kitna chanchal har pal ..
har din khud main
surkh gulabon ki safed motye ke jesi
khushbu liye aata hai
aur rangon ki dhanak
ghar ke har koney mein
dil ke har dareechey mein
bikhri huii...
kitna haseen hai na pyaar..
ujli sub-hen..mehki shaamen...
gharz ke din ho
ya raat har pal har lamha
pyar ka geet
har simt hi gaatey huye milta hai...
hai naa??
aur phir..
sapney tooot jaatey hein..
kirchiyaan armaanon ki
khamoshi se dil ke har taar ko
har saaz ko har rang ko
chikna-choor kar deti hai...
har simt chaya hua din ka ujala
aur phoolon ki khushbu..
aankhon main aansoo ban ke
jhalakti hai...
har sapna kaanch ki
chooryon ki terah tooot toooot kar
bikhar jata hai..
dil ko dard sa honey lagta ..
aansoo cheekh ban ke
dil hi dil main
ghar kar jaatey hein..
labon ki muskurahat
aankhon main koi ashk
ban ke kabhi chup bhi jaati hai kabhi..
chalak bhi jaati hai..
sab rangon ki ra'anaayan
khatam ho jaati hain...
phoolon se khushbu chura li gayee ho jese ..
na ho soch na umang na khuwab ..
shayed gham se bojhal aankhen..
chamak kho beth-ti hain..
aur dard se nidhal hua dil
jeena chorr deta hai...
dikhawey ki aarr liye
lab hanstey hansatey rehtey hein...
qehqahon ke shor main..
koi cheekh gham ke bojh se
seeney se paar ho bhi jaaye
to koi kia jaaney kesa dard chupa hai
jo bas andar kahin dafan hai
siskyaan letey huye...
kion pyaar aiesa hota hai..
kion ..
kabhi dil se kisi ko pyar kia ho
to jano..
ye dard kitna bhayanak hai..
sehtey huye bhi saha na jaaye..
hanstey hanstey bhi
ro parrey...
kabhi dil se...
na ho soch na umang na khuwab ..
shayed gham se bojhal aankhen..
chamak kho beth-ti hain..
aur dard se nidhal hua dil
jeena chorr deta hai...
dikhawey ki aarr liye
lab hanstey hansatey rehtey hein...
qehqahon ke shor main..
koi cheekh gham ke bojh se
seeney se paar ho bhi jaaye
to koi kia jaaney kesa dard chupa hai
jo bas andar kahin dafan hai
siskyaan letey huye...
kion pyaar aiesa hota hai..
kion ..
kabhi dil se kisi ko pyar kia ho
to jano..
ye dard kitna bhayanak hai..
sehtey huye bhi saha na jaaye..
hanstey hanstey bhi
ro parrey...
kabhi dil se...
No comments:
Post a Comment