Showing posts with label Udaas. Show all posts
Showing posts with label Udaas. Show all posts

Wednesday, 13 March 2013


Tum se dori ka jab ehsas hota hai...

Tum kya janu dil kitna udas hota hai...

Tum tu hoty nahi pass lekin...


Teri yadon ka har naksh mere pass hota hai..

Sahil ~ ~ ~

Tuesday, 12 March 2013


Uski Doli thi
Mera Janaza tha

PhooL us per b thay
PhooL mjh per b thay

Mehfil wahan b thi
Majma yahan b tha

Un ka hasna wahan
in ka rona yahan

Saheliyan us ki b thin
Dost mery b thay

Do qul us k parhay
Do qul mery parhay

Qaazi udhar b tha
Molvi idhar b tha

Wo saj k gaey
mujay sajaya gaya

Wo uth k gye
mujay uthaya gya

Faraq sirf itna sa hai.

Usay Apnaya gya
Mujay Dafnaya gya…,

Sahil ~ ~ ~


Tujh Se Bichrein Gay Tau Mar Jaen Gay,
Haan! Haan!

YaQeeN Maano Kuch Aise Hi Thay, Waadey Un ke...

Sahil ~ ~ ~

 

Saturday, 9 March 2013



Be Basi Hai....
Udaasi Hai Aanso Hain
Or Dard Bhi Hai...

Dekho Sab Kuch Hai

Mere Paas Bas Ek
Tum Hi Nahi Hoooooo...

 Sahil ~ ~ ~

Wednesday, 6 March 2013


 Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Sahil ~ ~ ~

 

Sunday, 3 March 2013


Jaa Tujhe Tere Haal Par Chhora....
 
Iss Sey Behtar Teri Sazaa Bhi Nahin.....!!

Sahil ~ ~ ~

Uss Se Karta Hoon Mulakaat Simatney Ke Liye , ,

Uss Se Milta Hoon To Kuch Aur Bikhar Jata Hoon . . .

Sahil ~ ~ ~

Qalam Se Likh Nahi Sakty Udaas Dil Ke Afsany..

Hamary Sath Jo Hota Hai Bas Acha Nhi Hota..!!

Sahil ~ ~ ~

Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki,
K Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki,

Amoor-e-Dil Mein Kisi Teesray Ka Dakhal Nahi,
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki,

Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha,
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki,

Chiragh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna,
K Aaj Raat Chalay Gi Hawa Udaasi Ki.

Bohat Dinon Se Mulaqaat Hi Nahi "SAHIL"
Kahin Se Khair Khabar Le K Aa Udaasi Ki...

 Sahil ~ ~ ~
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...