Ye fesla bhi mere,
us k darmiyan kar de.
Mujhe sarab bana,
us ko karwan kar de.
Wo lout kar nhi ata
to intaqaman hi.
Mujhe bhi us ki faqat
umar e raigan kar de.
Kisi trah to wo shamil ho
zindagi min meri.
Jo ho sake to use
meri dastan kar de.
Wo aftab sahi
ik naye sawere ka.
Mujhe chiragh se uthta hoa
dhunwan kar de.
Bana k dhoop mujhe shab ki,
chandni din ki.
Mere wajud min mujh ko
kahin nihan kar de.
Min shakh sabz hon,
mujh ko utaar kaghaz par.
Meri tamam baharon ko
be khizan kar de.
No comments:
Post a Comment