Saturday, 1 June 2013

Wo jo shair tha

Wo jo shair tha, chup sa rehta tha.

Behki behki si baten karta tha.

Ankhen kanon pe rakh k sunta tha.

goongi khamoshiyon ki awazen.

Jama karta tha chaand k saye.

Aur geeli si noor ki boonden.

Rookhe rookhe se rat k patte.

Ouk min bhar k kharkharata tha.

Waqt k is ghanere jungal min.

Kache pakke se lamhe chuta tha.

Han, wohi, ajeeb sa shair.

Rat ko uth k kohniyon k bal.

Chaand ki thori chuma karta tha.

Chaand se gir k mar gaya he wo.

Log kehte hen khudkashi ki he.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...