Zikr-e-shab-e-firaq se vahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi Us raat der tak vo raha mahv-e-guftagu masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi Sunataa thaa vo bhi sb se purani kahaniyaan taaza rafaqaton ki zarurat use bhi thi Mujh se bichhar ke shahar main ghul mil gaya vo shakhs haalaN ke shahar bhar se adavat use bhi thi Vo mujh se barh ke zabt ka adi tha ji gaya varnaa har ek saans qayamat use bhi thi "Mohsin" main us se keh na saka yon b hal-e-dilDar paish ik taza museebat use bhi thi
No comments:
Post a Comment