Woh chiragh kub ka dhonwan howa,
Meri khahishen k'heen gird-e rh men dabi rahin
Wo teri nazer ki mosafaten
Mere dur se aake palut gayeen,
Kisi aur anjum-e-aasman ki talash men...
Kahin aur aage nikul gayeen.
Ke bohot bolund thi faseel-e-waq't,
Dre- bekasee se lagi howee,
Main ise kabhi na gira saka,
Too ise kabhi na hata saki.
Wo jo khab chush'me-kheyal men the saje huwe,
Yunhi muslehut ki dabeez teh men dabay rahe,
Yunhi ma'shray ki kadi nazer se dare rahay.
Wo jo ek a'eena tha robaroo...
Wo abhi taluk kisi moj'zay ka hai muntazir.

No comments:
Post a Comment