Rawish rawish hy wohi intazar ka mosam
nahen hy koe b mosam, bahar ka mosam
Giran hy dil pe gam-e-rozgar ka mosam
Hy azmaish-e husn-e-nigar ka mosam
Khosha nzara-e rukhsar-e-yar ki sa'at
Khosha qrar-e-dil-e-bayqrar ka mosam
Hadis-e-bada-e o saqi nhen to kis masraf
Kharam-e-abre sar-e-kuhsar ka mosam
Naseb-e-suhbat-e-yaran nahen to kia kijiay
Ye raqs-e-saya-e-saro o chinar ka mosam
Ye dil k dagh to dukhtay thay yun b per kum kum
kuch ab k aur hy hijran-e-yar ka mosam
Yahi jano k, yahi taok-o-daar ka mosam
Yahi hy jabr, yahi ikhtiar ka mosam
Qafas hy bus main tumharay, tumharay bus main nahen
Chaman main atish-e-gul kay nikhar ka mosam
Saba ki mast kharami tahe kamand nahen
Aseer-e-dam nahen hy bahar ka mosam
Bla sy hum nay na daikha aur to daikhen gay
Farogh-e-gulshan o soat e hazar ka mosam
No comments:
Post a Comment