phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa
jaaduu bharii nigaah se jaaduu-saa kar gayaa
bas dekhate hi dekhate duniya badal gai
kuchh sochate hi sochate chehara utar gaya
betaab beqraar tha pahale hi dil bahut
phir aap kaa aana aur bhi betab kar gaya
ik beKhudii ka naam muhabbat hai dosto
chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya
kuchh bhii pata nahin hai muhabbat mein ai dost
kab raat subah ban gai kab din guzar gayaa
No comments:
Post a Comment