chiragh mangty rehnay ka kuchh sabab bhi nahi..
andhera kesy bataain k ab to shub b nahi
Woh mery shehron me muj se ziyada bolta hay.
me uski bazm me ek harf-i-zer-lab bhi nahi
ye dastkain ye meri zindgi ki aadhi raat
hawa ka shor smjh lon to kuchh ajab b nahi
hisab-i-darbadri tuj se maang sakta hay
ghareb-i-shaher mgr itna bay adab b nahi
hamain bhut hay ye arbab isaq se nisbat
qabila ye mgr aisa to kam nasb bhi nahi
No comments:
Post a Comment