Showing posts with label Sahil poetry. Show all posts
Showing posts with label Sahil poetry. Show all posts

Thursday, 21 March 2013


Kuch is adaa say aaj woh pehlu nashin rahy

Jab tak humary paas rahy hum nahin rahey ♥

Sahil ~ ~ ~ 

Tuesday, 12 March 2013



Tere Laut Aane Ka Intezar Karta Hu..
Dekh Mai Tujhse Kitna Pyar Karta Hu..

Mai Banata Hu Kagaz Pe Teri Tasveer..
Phir Unse Baatein Hazar Karta Hu..

Tere Dukh Bhi Khuloos-E-Niyat Se..
Apne Dukhon Me "SHUMAR" Karta Hu..

Sach Samajhta Hu Jhoot Bhi Tera..
Youn Mai Tera "AITBAR" Karta Hu..

Abhi Bhi Sochta Hu Toh Aankhein Bheeg Jati Hai..
Aye Jaan-E-Jaa Mai Tumse.. 
Itna Pyar Karta Hu ....         

 Sahil ~ ~ ~
                                  

  Thukra K Us Ne Mujh Ko Kaha Muskura Do 

  Mei Hans Diya Aakhir Sawal Us Ki Khushi Ka Tha 

  Mei Ne Khoyaa Woh Jo Mera Tha Hi Nahi 

  Us Ne Khoyaa Woh Jo Sirf Usi Ka Tha 

   Sahil ~ ~ ~

Tarha tarha sy bhulaya magar ye Haal howa...
 
Har aik khayal sy paida tera khayal hoWa.. ♥ ♥ ♥

 Sahil ~ ~ ~

Tujhay kya khabar teri yaad nay
mujhay kaisay kaisay sata dia

Kabhi khalwaton mai hansa dia
kabhi mehfilon mai rula dia

Tere ishq mai kabhi youn hoa k
namaz apni qaza hoi

Teri aarzoo nay kabhi kabhi
mujhay mere rab say mila diya

 Sahil ~ ~ ~

hum tw apni tanhaiyo se tang aa k muhabat ki talash m niklay thay faraz……
 
hamain tw muhabat b aisi mili jo or tanha kar gae… 

 Sahil ~ ~ ~

Chalo door chalte hai iss duniya se kahi
Jaha tum ho aur me hu aur koi kahi nahi
 
 Jaha sirf tumhari mahak ho phulo ki nahi
Jaha dhkehu tumhari aankho se apni nahi
Jaha noor ho tere chehre ka chand ka nahi

Jaha mausam ho pyaar ka taqraar ka nahi
 
Jaha hawaye ho teri zulfo ki mitti ki nahi
Chalo dur chalte hai iss duniya se kahi….!!

 Sahil ~ ~ ~

Kisi ne aj mujh se kaha teri aankhein bari pyari lag rahi hain Sahil

  Ma ne kaha aksar barish k bad mausam pyara h0 jata hai 

 Sahil ~ ~ ~

Tujh Ko Maloom Bhi Hay Kitna Talab Gaar Hoon Tera
 
Pooch Un Farishton Se Jo Roz Likhtey Hain Dua Meri Or Naam Tera

 Sahil ~ ~ ~


Sbab Ronay ka wo pochain to itna kehna Qasid..!

” Muje Hnsna nahin aata jahan pr tum nahin hoty.”

Sahil ~ ~ ~

Kya Bura Hai Ke Main Mohabbat Kar Loon,
 
Log Wese Bhi Tou Kehte Hain Gunahgar Hoon Mein..

Sahil ~ ~ ~

Saturday, 9 March 2013


koi tmse puche kaun hu mein? 
Tum keh dena aise hi..Koi khas nhi..

1dost h kaccha pakka sa..
1jhut h adha sacha sa..
Jazbat k naam par1 parda sa.. 
Bas1 bahana h acha sa..
Jo pas hokar bi pas nhi..
Par usse chupa koi raaz nhi..
jo har pal tumhe yad kare..
Apni sanse tumhare nam kare..
Jo ruthe to tumhe manaye..
jo apni har baat tumhe bataye..
jo tumhare gam janta ho..
dua tumhare liye mangta ho..

Koi tumse puche kaun hu mai?
Tum kehdena koi khas nai...

 Sahil ~ ~ ~


Herat Hui Ghalib Tumhein Masjid Mein Dekh ker

Aisa Bhi Kya Hua K Khuda Yaad Aa Gaya...???

 Sahil ~ ~ ~

DooR K¡ H¡ Dua Salam Ach¡ ha¡... Sahil

M¡Lao Hath To ¡sHQ Galay Parta Ha¡..

 Sahil ~ ~ ~


Sab k Sab Gunah
sahib..
Aik.......Mohabbat Kr Li
Dusra......Tum Se Kr Li
Teesra.....Be-Panah Kr Li
 
Sahil ~ ~ ~

Mohabbat Bhi To Aik Tarah
Ki Siyasat Hoti Hai...

Jeet Gaye To Badshahi
Haar Gaye To

Qaid-e-Tanhai...

  Sahil ~ ~ ~

Utar Jaty Hain Kuch Log Dil Main Is Qadar.

Jin Ko Dil Say Nikalo To Jaan Nikal Jati Hai.

Sahil ~ ~ ~


Wo meri har baat se ikhtilaf karta hai.
 
Chhup Chup k mgr mera tawwaf krta hai.

Kahin koi or shakhs mere Qareeb na ho jaye.
 
Issi liye wo sb ko mere Khilaaf krta hai.

 Sahil ~ ~ ~


Hota Nahi Ayaan Kabhi Un Ke Mizaaj Se...
 
Neyat Kharab Hai Ke Tabiat Kharab Hai....

Sahil ~ ~ ~


Raat Saari Guzar Jati Hai Inhee Hisabon Men..??

Ussay Mohabbat Thi..?

Nahin Thi…?

Hy…?

Nahin Hy…?

Sahil ~ ~ ~

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...