Tujhe izhar-e-Mohabbat Say
Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko
Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say
Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K
Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee
Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main
Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say
Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey
Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He
Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar
Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana
jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha
To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley
Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt
Agar Ayena Dekha Hota
No comments:
Post a Comment