Wednesday 10 July 2013

Tu Karb ke Lamhaat Main

"Likhna Nahin Aata To 
Meri Jaan Parha kar,,
"H0 Jaye Gi Mushkil 
Teri Aasaan Parha kar,,

"Parhne ke Liye Tujh ko 
Agar kuch Na Mile To,
"Chehron pe Likhe 
Dard ke Unwaan Parha kar

"Laraib Teri Rooh ko
 Taskeen Mile Gi
"Tu Karb ke Lamhaat Main
 Quran Parha kar

"Paida Ho Tere Behar ki 
Moujon Main Talatum
"Tu Hasti-e-Iqbal k 
Dewaan Parha Kar...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...