Friday, 31 May 2013

Khwabon ki dekh bhaal min

Khwabon ki dekh bhaal min aankhen ujar gain.

Tanhaiyon ki dhoop ne chehre jala diye.

Lafzon k jorne min ibarat bikhar chali.

Ayina dhoondne min kai aks kho gaye.

Aye na phir wo loat k aik baar jo gaye.

Wo din, wo waqt, wo rut, 
wo mosam, wo sarkashi.

Ay gardisht-e-hayat, 
ay raftar-e-mah-o-sal.

Kya jama is zamin pe nhi hon ge phir kabhi?

Jo hamsafar faraq ki daldal min kho gaye.

Patte jo gir k perh se raston k kho gaye.

Kya phir kabhi na loat k aaye gi wo bahar.

Kya phir kabhi na aankh min utre gi wo dhanak.

Jis k wafoor-e-rang se jhalki hoi hawa.

Karti he aj tak.

Aik zulf min saje hoe phoolon ka intizar.

Lamhe zaman-e-hijar k phele kuch is trah.

Dag-e-rawan-e-dasht ki tamsaal ho gaye.

Is dasht-e-pur sarab min bhatke hen kuch is qadar.

Naqsh-e-qadam the jitne bhi pamaal ho gaye.

Ab to kahin khatam ho rasta guman ka.

Sheeshe min dil k sare yaqeen baal ho gaye.

Jis waqiye ne aankh se chheeni thi meri neend.

Us waqiye ko ab to kai saal ho gaye.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...