Wednesday, 28 December 2011

Urdu Poetry | Sent by ASMA BANU (3)



sent by
ASMA BANU
 Mysore Karnataka from India
to join facebook



bohut log mile pr wo mohabbat na mili
jiski chahat thi wo qismat na mili
jin ke liyeh baithe hain hum intezaar mein 
unhe hamare liyeh ek pal kii fursat na mili

---

mohabbat wo haseen gunah hai 
jise har insan khushi khushi karta hai
pr mohabbat mein intezaar wo karta hai
or sach mein mohabbat karta hai

---

tanhayi aksar hum se poochti hai
kya aaj bhi intezar hai uske kaut aane ka
aur yeh dill muskura ke kaheta hai 
mujhe ab tak yaqeen nahi aaya us ke jaane ka

---

maa na hogi to wafa kaun karega'
mamta ka har haq ada kaun karega
ya rab har ek ki maa ko sada salamat rakhna
warna hamari zindagi ke liyeh dua kaun karega

---

aye khuda rok le meri maut ko
mera sanam mujh se door hai
dekh lun us ko ek nazar
phir mujhe maut manzoor hai

---

ek pahchan hazaar dost bana deti hai
ek muskan hazar gam bhula deti hai
zindagi ke safar mein sambhal ke chalna 
ek galat fehmi sapno ko jala deti hai

---

aap to chand ho jise sab yaad karte hain
hamari qismat to taron jaisi hai,,
yaad to door log apni khwahish ke liyeh 
hamare tootne ki faryaad karte hain

---
 


ek pathar he kafi hai shisha todne ke liyeh
ek baat he kafi hai dill toot ne ke liyeh
ek lamha he kafi hai pyar karne ke liyeh 
tum jaise dost he kafi zindagi jeene ke liyeh

---

baat karne ke liyeh nazar chahiyeh 
pyar kerne ke liyeh jigar chahiyeh
us ko aap ke dill ki har ek baat pata chal jayegi
bas aap ki khamoshi mein wo asar chahiyeh

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...