Sunday, 13 November 2011

Paniyon Paniyon Jab Chand Ka Haala Utraa


Paniyon Paniyon Jab Chand Ka Haala Utraa
Neend Ki Jheel Par Ek Khwab Purana Utraa,

Aazmaesh Mein Kahaan Ishq Bhi Poora Utra
Husn Kay Aage To Taqdeer ka Likha Utraa,

Dhoop Dhalne Lagi, Dewaar Se Saaya Utra
Satah Humwaar Hoi Piyar Ka Dariya Utraa,

Yaad Se Naam Mita Zehn Se Chehra Utraa
Chand Lamhun Mein Nazar Se Teri Kiya Kiya Utraa,

Aaj Ki Shab Main Pareshaan Hoon To Yoon Lagta Hai
Aaj Mahtaab Ka Chehra Bhi Hai Utraa Utraa,

Meri Wehshat Ram-e-Aahu Se kaheen Barh Kar Thi
Jab Meri Zaat Mein Tanhai Ka Sehraa Utraa,

Ek Shab-e-Gham K Andhere Pe Nahi hai Maoqoof
Tune Jo Zakhm Lagaya Hai Woh Gehra Utraa.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...