Sunday, 13 November 2011

Mohabbat jhoot lagti hai mujhe,


Mohabbat jhoot lagti hai mujhe,
Aik khokhla jazba,
Jise izhar ki her waqt khwahish ho,
Kahe jaane ki,
Sunane ki,
... Jise her pal zaroorat ho,
"Mujhe tum se mohabbat hai"...

Na jaane roz kitne log,
Is jumle ko sunne k liye bedaar hote hain,
Ye aisa jhoot hai jis ka saher,
Sadiyon se taari hai,
Magar jaanan!
Mohabbat jub kabhi izhar ko terse,
Koi tum se ager keh de
"Mujhe tum se mohabbat hai"
To us ki baat mat sunna,...

Mohabbat rooh se phoote,
Mohabbat aks ban jaye,
To phir tum ko yaqeen aaye,
K main ne sach kaha tum se,
Mohabbat rooh ban jaye,
To phir us ka yaqeen kerna,
Werna aik jumla koi kitni baar dohraaye,
Kahe jaye,
Nahi sunna,
Mohabbat jhoot hai jaan'an,
Agar izhaar ki is ko zaroorat ho.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...