Wednesday, 9 December 2009

Os Ko Juda Hoey Bhi Zamana Bohut Howa

Os Ko Juda Hoey Bhi Zamana Bohut Howa
Ab Keya Kahein Ye Qisa Porana Bohut Howa

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab E Firaq
Ae Marg E Nagahan Tera Aana Bohut Howa

Hum Khuld Se Nikal To Gaey Hein Per Ae Khuda
Itny Se Waqiey Ka Fasana Bohut Howa

Ab Hum Hein Or Sare Zamany Ki Dushmani
Os Se Zara Sa Rabt Barrhana Bohut Howa

Ab Keun Na Zindagi Pe Mohabbat Ko War Dein
Is Aashqi Me Jaan Se Jana Bohut Howa

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Taruf Na Hosaka
Mana K Os Se Milna Milana Bohut Howa

Keya Keya Na Hum Kharab Hoey Hein Magar Ye Dil
Ae Yad E Yar Tera Thikana Bohut Howa

Kehta Tha Naseh Se Mere Mohn Na Aiyoo
Phir Keya Tha Ik Hooo Ka Bahana Bohut Howa

Lo Phir Tere Laboon Par Osi Bewafa Ka Zikar
Ghazal Tujh Se Kaha Naa Bohut Howa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...