Showing posts with label Aangan. Show all posts
Showing posts with label Aangan. Show all posts

Saturday, 23 February 2013


Jab Sawan Main Tanha Bheego Gay
Jab Angan Khalee Pao Gay
Jab Sahil Say Takrati Lehron Main
Apni Tanhae Main Kho Jao Gay
Jab Raat Kay Tanha Daman Main
Tum Chaand Ko Adha Pao Gay
Jab Khud Say Batain Kartay Kartay
Tum Door Kahin Kho Jao Gay
Jab Dil Ki Baat Chupanay Ko
Ham Say Nazar Tum Churao Gay
“Main Tum Say Mohabat Karti Hoon”
Har Baar Yay Sunna Chaho Gay
In Sab Lamhon Main Jaan Lena Kay
Tum Tum Nahi “Hum” Ban Jao Gay

                                                                         Sahil~ ~ ~

Dekha Jo Utre Hain Tare Tere Aangan Mein
Ghar Jaayegee
Utar Jaayege
Doliyaan Chadh Jaayege
Mehandee Lagaayegee Re
Kaajal Sajaayegee Re
Dulhaniyaa Mar Jaayegee

 Sahil~ ~ ~
Utra Tha Chaand Hamary Aangan May
Per Sitaaron Ko Ye Gawaara Na Tha
Ham Tu Sitaaron Say Bhi Baghawat Kartay
Laikin Kia Kartay
Chaand He Hamaaraa Na Tha

 Sahil~ ~ ~
Chaand Utra Maray Aangan Main Sitaroo Ko Gawara Na Howa
Sitaroo Say Geela Kaya Kartay Jab Who Chaand Hi Humara Na Howa

Sahil~ ~ ~
Itna Chhota Nahi Rista Hamara
Kaise Soch Liye K Aa Gaya Kinara
Lo Fir Ho Gayi Aap K Aangan Me Rosni
Ek Baar Fir Badnaam Ho Gaya Naam Hamara

sahil~ ~ ~


Yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha
hath kyon bandhe mere challa agar chori hua
ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha
main ne pucha kya hua wo aap ka husn-o-shabab
hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha
main sisakata reh gaya aur mar gaye farahad-o-qais
kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha


sahil~ ~ ~
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...