Thursday, 26 November 2009

Kis qadar khoob thi saadgi aap ki

Kis qadar khoob thi saadgi aap ki, Aaj bhi yaad hai dosti aap ki, Jab bhi fursat k lamhe mile hain humein, Hum ne mehsoos ki hai kami ap ki .

Aa Ksi R0Z Teri R00h Me Utr Jaoun Sath Rahun Tery

Aa Ksi R0Z Teri R00h Me Utr Jaoun Sath Rahun Tery, na ksi ko Nzr aaoun Chahy b to koi chu na sky Mjhko Tu kahy to Yun Teri ZAAT Me Bikhr jaoun.

Mujhy Us Jaga Sy Bhi Mohabat Ho Jati Hy

"Mujhy Us Jaga Sy Bhi Mohabat Ho Jati Hy..!Mohsin! Jahan Baith Kar Aik Baar Tujhy Soch Leta Hon

Tallab Karein Tow Mein Apni Aankhein Bhi Inn Ko De Doon

Tallab Karein Tow Mein Apni Aankhein Bhi Inn Ko De Doon 'MOHSIN'... Magar Yeh Loog Meri Aankhon Ke Khuwab Maangte Hainn...!!!

A Silent Message For All Muslims From 'Allama iQBAL

"Sooraj hamein har shaam yeh dars deta hai, k maghrib ki taraf jao gay to doob jao gay. "A Silent Message For All Muslims From 'Allama iQBAL".

TUMHEIN chand kahun ya sitara kahun

TUMHEIN chand kahun ya sitara kahun? Kaise dil ki baat main dobara kahun? DIL TERI yaad mein dharrakta hy pal pal Main isey apna kahun ya TUMHARA kahun.

Mehsus to karte hoon magar chu nahi sakte

Mehsus to karte hoon magar chu nahi sakte."faraz"........ Tum phool nahi phool ki khushbu ki tarha ho

Is Dil Me Aa saka Na koi

" Is Dil Me Aa saka Na koi, " Is Dil ko Chura saka Na koi, " kasoor is Me kisi ka Nahi, " Aap Jesi Jagah' DIL Me Bana Saka Na koi.

Kisi ko pas anay main waqt lgta hy

Kisi ko pas anay main waqt lgta hy Kisi ko apna bnanay main waqt lgta hy Jb manga hm ne apko Khuda se to us ne kaha Anmol chez ko pany me waqt lgta gy.

Ik sarsari si nazr wo mujh pe b daal de

Ik sarsari si nazr wo mujh pe b daal de, Ae rab e zuljalal use itna khayal de, Itna b kya urooj k wo mil hi na ske, wo ho sake mera use itna zwal de..

Mere pyar ko koi samaj nhi paya

Mere pyar ko koi samaj nhi paya, Rote thay tanha koi pas nhi aaya, Mita dia khud ko us k pyar mein, Aur wo kahte hain hamen pyar krna nahi aya.

Anjan to is gham se koi reh nahi skta

Anjan to is gham se koi reh nahi skta Koi zabt krta hy to koi seh nahi skta Mohabbat to hr dil ko ho jati hy Lekin Koi izhaar krta hey to koi keh nahi sakta.

Koi sham Aati hai Aapki yaad Lekar

Koi sham Aati hai Aapki yaad Lekar , koi sham jati hai Aapki yaad de kar , hamein to us sham ka intezar hai jo Aaye Aapko saath Lekar

Meri Muskurahat ka samaan faqat tum ho

Meri Muskurahat ka samaan faqat tum ho, Yehi baat janlo meri pechan tum ho, Kesay khush rahon agar tum saath nahi ho, Meri har khushi mere dost sirf tum ho.

Majbor Thy Hm Wfa Apni Jta Na Saky

Majbor Thy Hm Wfa Apni Jta Na Saky Karty Rhe DIL Me Zkhm Kisi Ko Bata Na Sky Chahton Ki Had Se Bar Kr Chaha Usy Sirf Apna DIL Nikal Kr Usy Dikha Na Saky:

Khushk Tinkon Sy Ghar Bana Raha Hoon 'MOHSIN

"Khushk Tinkon Sy Ghar Bana Raha Hoon 'MOHSIN, Ye Janta Bhi Hoon, K Mizaaj-e-Yaar Aag Jaisa Hai.

Her Dam Karon Yad Tujy Duaon Me Sada Khush Raho

Her Dam Karon Yad Tujy Duaon Me Sada Khush Raho Payar Ki Chaon Me Ezat Ho Teri Sari Dunya Ki Nigahon Me Koi Ghum Na mily Tujy Zindgi Ki Raho my.,Aamen.

Hamesha wo hera bano jo har ungli me khob sorat lage

Hamesha wo hera bano jo har ungli me khob sorat lage wo pthar mat bano jo har koi thokar mare derd dil..

Jo Dil K Ainay Mein Ho Wohi Hai Pyaar K Qabil

"Jo Dil K Ainay Mein Ho Wohi Hai Pyaar K Qabil !!FARAZ!! Warna Deedar K Qabil To Har Tasweer Hoti Hai..."

Wafa K Is Sheher Main Hum Jaisa Sodagar Na Milay Ga

Wafa K Is Sheher Main Hum Jaisa Sodagar Na Milay Ga ."FARAZ". . Hum To Aansu Bi Khareed Letay Hain Apni Muskrahat Day Kar..

Is Qadar Keemti to na tha Mera Chain-O-Sakoon

Is Qadar Keemti to na tha Mera Chain-O-Sakoon Loot kr le Gaye woh, kissi Anmol Khazanay ki tarah...

Hr roz bhola dyty ho kmal krty ho

Hr roz bhola dyty ho kmal krty ho! Hsty ko rola dyty ho kmal krty ho! Nhi hy mhbt to saaf kh do Kiyn umed brha dyty ho kmal krty ho! Hm tmhain bholny lgty hain jb bi A k piar jata dyty ho kmal krty ho! Janty bi ho k aik he dia hy mery ghr mn Phr bi hwa dyty ho kmal krty ho! Bholny ka jo mjhy hr roz khty ho Yon yad dila dyty ho kmal krty ho.

Teri har ada mohabat c lagti hay

Teri har ada mohabat c lagti hay Ik pal ki judai mudat c lagti hay Pehlay nahen tha socha ab sochtay hn Zindgi k har lamhay mein teri zroorat si lagti hai.

Mery wajood ki jageer Us ne mangi hy

Mery wajood ki jageer Us ne mangi hy, Ajab khawab ki tabeer Us ne mangi hy, Us ki qaid mein rehta hon main pehley bhi Na janay phir kion zanjeer us ne mangi hy? Guman hota hy woh bhool skta hy mujhe Kion k Aaj meri tasveer us ne mangi hy Mery Khuda mujhe us k naseeb mein likh day, Kah mujhse meri Taqdeer us ne mangi hy.

Monday, 23 November 2009

Rawish rawish hy wohi intazar ka mosam

Rawish rawish hy wohi intazar ka mosam
nahen hy koe b mosam, bahar ka mosam

Giran hy dil pe gam-e-rozgar ka mosam
Hy azmaish-e husn-e-nigar ka mosam

Khosha nzara-e rukhsar-e-yar ki sa'at
Khosha qrar-e-dil-e-bayqrar ka mosam

Hadis-e-bada-e o saqi nhen to kis masraf
Kharam-e-abre sar-e-kuhsar ka mosam

Naseb-e-suhbat-e-yaran nahen to kia kijiay
Ye raqs-e-saya-e-saro o chinar ka mosam

Ye dil k dagh to dukhtay thay yun b per kum kum
kuch ab k aur hy hijran-e-yar ka mosam

Yahi jano k, yahi taok-o-daar ka mosam
Yahi hy jabr, yahi ikhtiar ka mosam

Qafas hy bus main tumharay, tumharay bus main nahen
Chaman main atish-e-gul kay nikhar ka mosam

Saba ki mast kharami tahe kamand nahen
Aseer-e-dam nahen hy bahar ka mosam

Bla sy hum nay na daikha aur to daikhen gay
Farogh-e-gulshan o soat e hazar ka mosam

Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi

Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai
yeh nahi kehte ki amilo
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai
"Zinda rahe toh phir milenge
Magar aap se mil ke

Ish dil ne mehasoos kiya hai ki
"Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge".
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte

Sunday, 22 November 2009

when some loves you ( english )

When Someone Loves You
U Never Realize It
When You Realize It
Its Too Late

You Always Love The One

That Leaves You
And Leave The One
That Loves You

Teri aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,

Teri aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.

Hain tere apnay hi tere dushman,
Warna tera naam bhi lene walay ko mita diya karoon main.

Kyon tere aansoo dekh nahi pata main,
Tu jo ro de to duniya ko rula diya karoon main.

Tere zakham kya mere nahi hain,
Dil kare tere har zakham ko bhar diya karoon main

Dil chahe tujhe har khushi diya karoon main,
Duniya ki sari nafraton ko mohabbat mein badal diya karoon main.

Har giz na kar payengay mujhe tuhj se door zamaane walay,
Tere ek pukaar par sari doorian mita diya karoon main.

Tere aankhon ke aansoo ki kya keemat wasool karoon main,
Tujhe rulanay walay say kya sulook karoon main.

Agar jawab doge to baat karenge!

Agar jawab doge to baat karenge!
Nahi doge to intezar karenge!
DOSTI ki hai aapse isliye marte dam tak
aap ko har pal YAAD karenge….




Hum raat ki tanhai mai unhe yaad kiya karte hai
aur sitaro se unka zikar kiya karte hai
woh aaye na aaye khawbo mai
fir bhi hum unka intezar kiya karte hai

Irada tha tarq-e mohabbat ka lakin

Irada tha tarq-e mohabbat ka lakin..
fareeb-e tabbasum main phir aagay hum..
abhi kha k thokar sanbhalnay na payay..
k phir khaye thokar sanbhaltay sanbhaltay..
khat un ko likha k dil muztarib hay..
jawab un ka aya mohabbat na kartay..
tumhian dil laganay ko kiss nay kaha tha..
bahal gayay ga ab dil bahalty bahalty..
humain apnay dil ki parwah nahi hay...
magar dar raha hon yah kumsin ki zid hay..
kahin paoon nazuk main moch aa na gayay...
dil-e sakht jaan ko masalty masalty..
Aray koi wada khalafi ki had hay...
hisab apnay dil main laga kar to dekhoo...
qayamat ka din aagaya rafta rafta...
mulaqat ka din badaltay badaltay...

SIRF TUM

SIRF TUM..........
SEENAY MA DIL..........
DIL MA DARD..........
DARD MA NASHA..........
NASHAY MA METHASS..........
METHASS MA TASHNAGI..........
TASHNAGI MA ARZOO..........
ARZOO MA HASRAT..........
HASRAT MA UMEED..........
UMEED MA KHAYAL..........
KHAYAL MA TASWAR..........
TASWAR MA TU..........
TUJ MA ADA..........
ADA MA WEFA..........
WEFA MA SOHI..........
SOHI MA SHRARAT..........
SHRARAT MA GHUSA..........
GHUSA MA BANAWAT..........
BANAWAT MA APNAYAT..........
APNAYAT MA CAHAT..........
CAHAT MA KHALOOS..........
KHALOOS MA PAYAR..........
PAYAR MA EBADAT..........
EBADAT MA KHUDA..........
KHUDA SAY DUA..........
AUR DUA MA..........
SIRF TUM..........

Khud ki anek galtiyo k bawajood

Khud ki anek galtiyo k bawajood Hum khud ko pyar karte he,
To phir kisi ki ek galati ke liye usse nafrat kyo karte he??

seena dahak raha hay to kiya chup rahay koi...

seena dahak raha hay to kiya chup rahay koi...
kyun cheekh cheekh kar na gala cheel lay koi..
sabit hua sakoon-e dil 0 jan kahin nahin..
rishtoon mian dhondta hay to dhonda karay koi..
tarq-e taluqat koi masala nahi...
yah to woh rasta hay k bas chal paray koi..
deewar janta tha jisay main woh dhool thi..
ab mujh ko aitamad ki dawaat na day koi..
main khud yah chahta hoon k halat hon kharab..
meray khalaf zehar ugalta phiray koi..
aah shaks ab to mujh ko sabhi kuch qabool hay
yah b qabool hay k tujhay cheen lay koi...
haan theek hay main apni ana ka mareez hoon...
akhir meray mazaj main kyun dakhal day koi...
aik shaks kar raha hay abhi tak wafa ka zikar..
kash is zaban daraz ka mun noch lay koi...

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

ik sarkhoshi ki moj nay kaisay kiya kamal
wo be niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
parda utha to saara tamaasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya

shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
hanzala yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

Jis Din Se Tum Ko Dekha Hai

Jis Din Se Tum Ko Dekha Hai
Main Aksar Socha Karta Hoon
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Tum Phool Ho Ya Qos -e- Qazah
Tum Chaand Sitaron Jesi Ho
Tum Ujli Dhoop Ho Sarma Ki
Ya Rim Jhim Ka Mausam Ho
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Kal Raat Main Bilkul Tanha Tha
Kal Raat Yeh Mujh Per Bhaid Khula
Main Jaan Giya Main Maan Giya
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Tum Mere Dil Main Rehti Ho
Tum Bilkullllll Mere Jesi Ho

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, ki

Roothay huay ko ghar say bulanay nahi gaye

Roothay huay ko ghar say bulanay nahi gaye..
G chahta tha phir be manany nahi gayee..
kiss simt ki hawa thi kidhar par rahay thay paich...
chat per kabhi patung uranay nahi gayee....
duniya yah kah rahi thi woh tujh ko rulay ga...
roye magar kisi ko batanay nahi gaye...
jo kuch meray khilaf tha barish nay dhoo diya...
deewar ko main ap mitanay nahi gaye..
is shehar nay b mujh ko faramosh kar diya..
main b kisi ko yad dilanay nahi gaye...
humdard ban k mujh ko bulata raha woh shaks!
lakin main us ko haal sunanay nahi gaye..

Kabhi Tanha Reh Jao To Mujhey Sochna


Kabhi Tanha Reh Jao To Mujhey Sochna
Kisi Morr Pey Ghabrao To Mujhey Sochna

Ajnabi Chehron Mein, Ajnabi Zameenon Pey
Kabhi Gair Kehlao, To Mujhey Sochna

Apney Haathon Pey Kisi Chaand Raat
Mehndi Jo Lagao, To Mujhey Sochna

Tumhein Haq Hai Chaaho To Bhool Jaana
Agar Bhula Na Paao To Mujhey Sochna

Mujhey Sochna Jab Main Na Rahoon
Jab Kabhi Gungunao To Mujhey Sochna

Abb Na Sahi, Kabhi Mairey Baad
Tum Lot Aao To Mujhey Sochna …

Dil Ke Darya Main Utar Ke Dekho

Dil Ke Darya Main Utar Ke Dekho
Tum Mohabbat Mujh Se Kar Ke Dekho

Phir Tumhein Mari Talab Ho Shayad
Tum Kabhi Mujh Se Bichar Ke Dekho

Ishq Ka Saagar Bohat Hai Gehra
Doob Kar Khud Bhi Ubhar Ke Dekho

Duniya Phir Lagne Lage Gi Dil Kash
Is Ko Tum Meri Nazar Se Dekho

Mera Gham Mehsoos Karna Ho To
Meri Raahon Se Guzar Ke Dekho

Kiya Asar Hota Hai Be Rukhi Ka
Meri Chahat Se Mukar Ke Dekho

Tum Se Jab Baat Nahi Hoti Kisi Din Janum

Tum Se Jab Baat Nahi Hoti Kisi Din Janum
Aese Chup Chaap Guzerta Hai

Yeh Sunsaan Sa Dinn
Ik Seedhi Si Badi Lambi Sadak Per Jasey

Saath Chalta Hua Saathi Koi
Munh Phulaye Naraz saa

Khamosh Udaas
Aur Jab Main Milta Hoon

Hanss Perhta Hai Yeh Rutha Dinn
Gud Gudda Ker Mujhe Kahta hai

Hath uljhay howay resham me phasa bethay hain

Hath uljhay howay resham me phasa bethay hain
Bata kis dhagay ko juda kis sa karain???

Boht kuch tum se berh ker mayasar tha,

Boht kuch tum se berh ker mayasar tha,
mayaser haiiii
Per na janae phir bhi kiun?????
TERI zarorat kabhi kamm nhi hotii

Urti rehti hai ab gard mujh mein

Urti rehti hai ab gard mujh mein...
Kon phirta hay dard badar mujh mein.....
Mujh ko mujh me hi jaga nhi miltiii...
Bas tu hi mojood hy is qadar mujh mein....

Teri baton mein ye jo Udasi chaiye hai

Teri baton mein ye jo Udasi chaiye hai

Ye mere door honey ki GAWAHI hai

phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa

phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa

jaaduu bharii nigaah se jaaduu-saa kar gayaa



bas dekhate hi dekhate duniya badal gai

kuchh sochate hi sochate chehara utar gaya



betaab beqraar tha pahale hi dil bahut

phir aap kaa aana aur bhi betab kar gaya



ik beKhudii ka naam muhabbat hai dosto

chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya



kuchh bhii pata nahin hai muhabbat mein ai dost

kab raat subah ban gai kab din guzar gayaa

phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa

phir daaman-e-ummiid vo phuulo.n se bhar gayaa
jaaduu bharii nigaah se jaaduu-saa kar gayaa

bas dekhate hi dekhate duniya badal gai
kuchh sochate hi sochate chehara utar gaya

betaab beqraar tha pahale hi dil bahut
phir aap kaa aana aur bhi betab kar gaya

ik beKhudii ka naam muhabbat hai dosto
chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya

kuchh bhii pata nahin hai muhabbat mein ai dost
kab raat subah ban gai kab din guzar gayaa

havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi gaya

havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi gaya
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhi gaya

pukaarate rahe mahafiz kishtiyon waale
main Doobta hua darya ke paar utar bhi gaya

ab ehatiyaat ki diwaar kya uThaate ho
jo chor dil mein chupaa tha wo kaam kar bhi gaya

main chup rahaa k is mein thi aafiyat jaaN ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagate sochate viraaN mausamon ki tarah
karra tha ahad-e-javani magar guzar bhii gayaa

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil mein raha zehan se utar bhii gayaa

phaTii-phaTii hui aaNkhon se yooN na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa

baraay-e-naam sahi koi mehar_baan to hai

baraay-e-naam sahi koi mehar_baan to hai
hamare sar pe bhi hone ko aasamaan to hai

terii faraaKh dili ko duaayein detaa hooN
mere labon pe tere lams ka nishaan to hai

ye aur baat ki vo ab yahaaN nahiin rahataa
magar ye us ka basaayaa huaa makaan to hai

elavaa is ke na kuch aur pardaa rakh mujh se
fasiil-e-jism mere tere darmiyaan to hai

bichhar ke zindaa nahin rah sakeinge ham donon
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai

saron pe saayaa fiGan abr-e-aarazuu na sahi
hamaare paas sarabon ka saayabaan to hai

gul-e-muraad nahin sang haaye tifl sahi
Gariib-e-shahar kaa aaKhir kisi ko dhyan to hai

Ay Shamha Hum Dil Jaloon Se Tere Naseeb Achay Haien

Ay Shamha Hum Dil Jaloon Se Tere Naseeb Achay Haien
Tu Ek Shab Keyb Laiy Jali Hum Barsoon Se Jal rahay Haien

Tere dar par sanam chale aye

Tere dar par sanam chale aye

Tu na aya to hum chale aye

Bin tere koy aas bhi na rahi

Itne tarse k piyas bhi na rahi

Lar kharaye qadam chale aye

Tere dar par

Dil ko dharka laga tha pal pal ka

Shoor sun le na koy payal ka

Phir bhi teri kasam chale aye

Tere dar par

Is se pahle k hum pe hansti raat

Ban k nagan humain jo dasti raat

Le k apna bharam chale aye

Tere dar par sanam chale aye

Tu na aya to hum chale aye

US KI YAADON MAIN US KI BAATON MAIN

US KI YAADON MAIN US KI BAATON MAIN
KAHIN TO MERA AKS JHILMILATA HOGA

LAKH MASROOF HO APNE KAAMON MAIN
KABI TO HAMAIN SOCH K MUSKURATA HOGA

Zindagi Jabre-musalsal ki tarah kati hai

Zindagi Jabre-musalsal ki tarah kati hai,
janay kis juram ki pai hai saza yaad nahi.

Wafa ruswa nahi karna…

Wafa ruswa nahi karna…

Suno aisa nahi karna

Mai pehle hi akela hu

Muje tanha nhi karna,

Judai aa b jaye to

Ye dil chota nhi karna

Bohat musroof ho jana

Muje socha nhi karna,

Barosa b zarori hai

Magar sub ka nhi karna

Muqadar to muqadar hai

kabi shikwa nahi karna

Meri takmeel tum se hai

muje adha ni karna

suno asa soocha nahi kerna.


N@JI

in ankhon ko bhi neend chahye nasir

in ankhon ko bhi neend chahye nasir
kab talak yoon ratjaga dekhoon ga

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…

jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…

N@JI

KOI TO HOTA….

KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA……..

N@JI

chiragh mangty rehnay ka kuchh sabab bhi nahi..

chiragh mangty rehnay ka kuchh sabab bhi nahi..
andhera kesy bataain k ab to shub b nahi
Woh mery shehron me muj se ziyada bolta hay.
me uski bazm me ek harf-i-zer-lab bhi nahi
ye dastkain ye meri zindgi ki aadhi raat
hawa ka shor smjh lon to kuchh ajab b nahi
hisab-i-darbadri tuj se maang sakta hay
ghareb-i-shaher mgr itna bay adab b nahi
hamain bhut hay ye arbab isaq se nisbat
qabila ye mgr aisa to kam nasb bhi nahi

TERA CHOR K JANA YAD AYA

TERA CHOR K JANA YAD AYA

KOI WAQT PURANA YAD AYA
KOI DOST SOHANA YAD AYA
OR CHAAAK SAY IN DIVAROON PR
KUCH LIKH KR JANA YAD AYA
TERA MILNA NEEEM KI CHAOOON MAIN
OR SIR RAKH DENA KANDHAY PR
MERA YEH KEHNA KOI DEKH NA LAY
TERA WO GHABRANA YAD AYA
KABHI AISA BHI TO HOTA THA
MAIN TUJH KO CHORNAY JATA THA
JAB WAPIS ANAY LAGTA THA
YEH TERA HATH HILANA YAD AYA
WO WAQT GIA LAMHAY BEETAY
AB HR JANIB TANHAI HAI
AB IK HAI MANZAAR ANKHON MAIN
TERA CHOR K JANA YAD AYA

ITNI SI IK DUA HAI

ITNI SI IK DUA HAI
KE AANE WALE HAR LAMHE
HASEEN CHAHTOON K PHOOL
BAKSHE TUMHE.
TUMHARI DUNIYA MAIN ROSHNI HO..
TUMHARI MEHFIL MAI KHUSHIYAN HON.
TUMHARE HONTOON PE MUSKURAHAT
KABHI BHI TUM TAK DUKHOON KI
DASTAK NA POHANCH PAAYE.

TUMHARI ANKHON MAIN
JO SITAREY CHAMAK RAHE HAN
YUNHI CHAMAKTE RAHEN HAMESHAA..
TUMHARE DIL TAK JUDAIYOON BE-WAFAEOON KI
KOI ANDHEERI KIRAN NA POHNCHE.

KHUDA KARE HAR DIL KA QARRAR LOOTO..
MAGAR TUMHARI HAR EK TAMANNA
HAR EK KHAWAHISH.
TUMHARE HONTOO TAK AATE ATEE
TUMHARE KADMOO TAK ANN POHNCHE.

JO HO SAKE THO TUMHARE HISEY KE
SAB GHAMOO KO
MAI APNE ANDER UTAR LOON.
YE MUMKIN TU NAHI LEKIN
DUA TU MERA HAQ HAI.
YE MUKHTASIR SI DUA KA TOOFA
SAMBHAL RAKHNA.
MERA ANDHEEROON KI FIKAR CHOOROO.
TUM BAS APNA KHAYAL RAKHNA
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...